[PDF] Guldasta E Tajalliyat & Irshadat~Haalat Hazrat Khwaja Mahboob Allah Rh - Hazrat Syed Mohi Uddin Hussaini Quadri Rh . - eBookmela

Guldasta E Tajalliyat & Irshadat~Haalat Hazrat Khwaja Mahboob Allah Rh – Hazrat Syed Mohi Uddin Hussaini Quadri Rh .

Guldasta E Tajalliyat & Irshadat~Haalat Hazrat Khwaja Mahboob Allah Rh – Hazrat Syed Mohi Uddin Hussaini Quadri Rh .
Likes0
Telegram icon Share on Telegram

Guldasta E Tajalliyat & Irshadat~Haalat Hazrat Khwaja Mahboob Allah Rh

User Rating: Be the first one!

Author: Hazrat Syed Mohi Uddin Hussaini Quadri Rh

Total Files: 11

Media Type: texts

PDF With Zip
Guldasta E Tajalliyat & Irshadat~Haalat Hazrat Khwaja Mahboob Allah Rh – Hazrat Syed Mohi Uddin Hussaini Quadri Rh .

April 26, 2021

Download PDF

82.77 MB 1PDF Files

Zip Big Size
Guldasta E Tajalliyat & Irshadat~Haalat Hazrat Khwaja Mahboob Allah Rh – Hazrat Syed Mohi Uddin Hussaini Quadri Rh .

April 26, 2021

Download Zip

141.05 MB 11Files

Total Files: 4

PDF
Guldasta E Tajalliyat With Guldaste E Irshadat_Haalat Hazrat Khwaja Mahboob Allah Rh .pdf
Guldasta E Tajalliyat With Guldaste E Ir...Rh pdf

Last Modified: 2018-07-25 12:11:26

Download

Size: 82.77 MB

GZ
Guldasta E Tajalliyat With Guldaste E Irshadat_Haalat Hazrat Khwaja Mahboob Allah Rh _abbyy.gz
Guldasta E Tajalliyat With Guldaste E Ir...bbyy gz

Last Modified: 2018-07-25 12:15:03

Download

Size: 197 bytes

ZIP
Guldasta E Tajalliyat With Guldaste E Irshadat_Haalat Hazrat Khwaja Mahboob Allah Rh _jp2.zip
Guldasta E Tajalliyat With Guldaste E Ir...jp2 zip

Last Modified: 2018-07-25 12:15:00

Download

Size: 58.07 MB

TORRENT
GuldastaETajalliyatWithGuldasteEIrshadatHaalatHazratKhwajaMahboobAllahRh_archive.torrent
GuldastaETajalliyatWithGuldasteEIrshadat...torrent

Last Modified: 2023-04-14 21:48:50

Download

Size: 8.83 KB

Description


☆Khwaja Mahbooballah Rh Hussaini sadat se hai aur Imam Mohammad Taqi AS(9th Imam) ki Aal se hai.

☆ Khwaja Mahbooballah Rh Syedna Mir Shujauddin Hussain Rh(Edi Bazar) k Nawase hai.

☆Khwaja Nayab E Rasool Rh(Rahmatabaf shareef ) 
aur 
•Rafi Uddin Khandari(Jo Bani e Jamia Nizamia Anwar Ullah Farooqui Rh k Nana hai) 
khwaja Mahbooballah Rh k Shuyook e Silsile me se hai.

☆ Khwaja Mahbooballah Rh apne Waqt Ghouse aur Qutbul Aqtab hai.

☆Khwaja Mahboob Allah Rh k khas Qulafa 
• Hazrat Abdul Qadeer Siddiqui Rh , Siddiq Gulshan
•Syed Mohammed Osman Hussaini Rh, Jeddah
•Hazrat Syed Omer Hussaini Rh, Quadri Chaman
• Hazrat Yahya Pasha Qibla Rh, Misrigunj
•Syed Makki Miya Rh , Kishanbagh
•Hazrat Abdu Muqtadir Siddiqui Rh.
• Syed Baqar Hussaini Rh
Etc


Mukhtasar sawaneh Hazrat Khaja Mahbooballah - Hissa e awwal
 *Naam o Nasab*
Aapka isme mubarak Syed Muhammad Siddiq Hussaini thha. Aap sadaat e hussainiya ke roshan chasm o chiragh hain. Aapka silsila e nasab 38 wastoun se fakhr e kayenat sarwar e do aalam Muhammad mustafa Ahmad mujtaba sallallahu alaihi wa sallam se jaa milta hai.
Aapki wiladat baa sa'adat 29 shaaban 1263 hijri ko hui. San e wiladat  *'chiragh e hind'* hai aur san e wafat *'chiragh e madina'* hai. Aapki umar mubarak 50 saal hui, jiska ma'khaz *'muhibb'* hai.
Aapke jadd e aala Hazrat Syed Mohiuddin Hussaini baghdad se hindustan ke sheher burhanpur mein raunaq afroz hue. Aapke dada Hazrat Mir Hyder Ali Alhussaini balda e Hyderabad mein asif jahi hukumat ki ibteda mein jalwa afroz hue. Aapke kashf o karamaat aur ilm o fazal ke sabab aapka laqab siyadat panah hua. Aapke walid e muhtaram Hazrat Mir Parwarish Ali Alhussaini almaroof bihi Syed Muhammad Badshah Hussaini sahab bade jaleel ul qadr buzurg thhe. Rif'at panah aapka laqab thha. Arz e muqaddasa (yaane makkah aur madina) mein kai baras qiyam farmaya aur wahaan waaz farmaya karte thhe. Aapka waaz arabi mein hota aur aapka waaz sunne kaseer tedad jama hoti.
Bait o khilafat Qutb ul Hind Hazrat Mir Shujauddin Hussain sahab qibla se hasil thhi.
Aqaid e shaah aapki mashoor tasneef hai.

Hazrat khaja mahbooballah ke nana hazrat abdullah shaheed sahab qibla, qutub ul hind hazrat mir shujauddin sahab qibla ke bete hain. Is tarah tarafain se aapke ajdad taqwa aur parhezgari mein mumtaz shakhsiyaat thhe.
*Siyadat* Arab log saadat ka behad adab aur ehteraam karte aur saadat ko habeeb pukarte thhe. Aise hi ek habeeb sahab ko Hyderabad ke ek sahab ne dawat di aur apne ghar mein mehman rakha, jo hazrat khaja mahbooballah ke ghar ke saamne thha. Mohalle waale hazrat khaja ka behad ehteraam karte thhe to ye habeeb sahab ne aapke mutaleq daryaft farmaya, logoun ne jawab diya ke ye yahan ke habeeb hain. Wo habeeb sahab hiqarat se bole ke yahaan habeeb kaise?
Raat ko wo sahab soye aur khaab mein dekha ke ke ek wasee maqam hai jiski ek janib ek hujra bana hua hai jis par chilman chuti hui hai, andar sayyida e kayenat jalwa afroz hain aur ye sahab salaam arz karte hain to jawab dekar aap farmati hain ke baithh jao main yahaan apne bache ka waaz sunne aai hoon tum bi suno. Jab ye palat kar dekhte hain to ek takht par hazrat khaja baithhe hain aur waaz kar rahe hain. Ye sahab neend se bedar hue aur fauran hazrat se apna khaab arz kiya aur aapka ehteraam karne lage.
*Aapki wiladat se qabl peshan goi* Hazrat khaja mahbooballah ki wiladat se qabl hi aapki walida majida ne ba zamana e hamal khaab mein dekha ke ek jhoola hai jismein ek ladka aur us jhoole ki dori sayyida e kayenat pakdi hui hain aur aapko bulaya aur kaha ye hamara bacha hai, is ki chand roz khidmat karke mere pass chale aao. 
Jab khaab se bedar huin to apne shohar Hazrat syed muhammad badshah Hussaini se apna khaab bayan kiya to unhone ye tabeer di ke humein ladka hoga jiski dori sayyida e kayenat ke haath mein hogi.
Aapke walid e majid hazrat syed muhammad badshah hussaini sahab ne khaab mein dekha ke aapke makaan ke qareeb ek noor ka sutoon hai,  Jiski tabeer aapne ye di ke ye hamari aulaad ka noor shohra e aafaq hoga.

*Part-2*

Mukhtasar sawaneh Hazrat Khaja Mahbooballah-Hissa e Duwwam

*Sighr sini* Hazrat khaja mahbooballah bachpan hi se khamush mizaaj, zaheen aur tez thhe. Ghaur o fikr mein rehte aur Ladai jhagde se tanaffur thha.
*Hulya e Mubarak* Aapka sar e mubarak bada, qad miyana, jism e mubarak darmiyana - na mote na dubley. Peshani kushaada, pur noor. Aankhein badi badi aur r'ub daar aur chehra kitabi golai liya hua. Sar mein zulf mubarak. Sar e aqdas par kapde ki topi. Nazr e mubarak wasee aur buland. Resh mubarak ghani magar thuddi ke pass qadrey kam.
Algharaz ke aap ka husn aisa thha ke hazrat bahr ul uloom farmate hain ke jo unko ek baar dekhta wo unka aashiq hojata aur chahta ke baar baar unko dekhe.
*Ilm* hazrat khaja mahbooballah kasrat se kitaboun ka mutale'a farmate aur har fann maula thhe. Fiqh e hambali par ek kitab zaad e aakhirat ke naam se likhi jo urdu zaban mein fiqh e hambali ki pehli kitaab hai.
Aap pehle hanafi ul mashrab thhe, baad mein bar bina e hukm e baatini hambali hue aur aksar mureedin aur apne bhaiyoun ku bi aapne hambali honay ka hukum diya. Hazrat ke chhote bhai hazrat syed omar hussaini sahab qibla qadrey ta'ammul farma rahe thhe. Aur hazrat khaja ko ye arz karte ke mujhe fiqh e hanafi ke masayel yaad hain fiqh e hambali ke nahi. Khaab mein aapne dekha ke ghaus ul aazam dastageer sayyid abdul qadir jilani raziallahu anhu ne unse farmaya ke 'kyun sayyid umar, main tumhein kitni dafa hambali honay ke liye bolraha hoon aur tum hambali nai hote. Sayyid umar sahab ne jawaban wahi arz kiya ke hazrat fiqh e hanafi ke masayel mujhe yaad hain aur fiqh e hambali ke yaad nahi. Ghaus e paak ne irshad farmaya ke wo kaunse mushkil hain? Main tumhein bata deta hoon aur khaab hi mein aapne mukhtasar andaaz se fiqh e hambali sikha dee. Khaab se bedar hokar aap fauran hazrat ki khidmat mein hazir hue aur aapko dekhte hi hazrat ne farmaya ke umar hussaini sahab daleel laate hain....bolo kya dekhe khaab mein? To aapne sara khaab bayan kiya aur hambali hogaye.
Is waqiye se hazrat khaja mahbooballah ki ghausul azam mein kamil fanaiyyat ka ilm hota hai ke aapka hukum ghausul aazam ka hukum hai.
Hazrat Abdul Qadir Siddiqui sahab (walid e majid hazrat bahr ul uloom)  jo khud ek bade mutabahhar aalim thhe aur wasee tareen aapka kutub khaana thha farmate thhe ke mere kutub khaane ke poore kitaboun ka main ne mutalea nahi kiya magar khaja miya saari kitabein padh liye. 
Aur hazrat khaja mahbooballah ka haafiza is qadr qawi thha ke aap ek baar ibarat par se guzarte to yaad hojata. Ek nayab kitab jo zakheem thhi, hazrat abdul qadir siddiqui sahab ko mili thhi wo aapne hazrat khaja ki khidmat mein rawana kiya, shaam tak hazrat khaja ne kitab wapas kardi to hazrat abdul qadir sahab ko khyaal guzra ke shayad poori kitab na dekhi ho. Aage hazrat khaja se mulaqat par aapne us kitab mein likhe masayel ke mutaleq guftagu ki to hazrat khaja ne poori ibarat aapko suna di.
Alawa iske aap ne fann e tibb mein maharat hasil ki, aur pattoun ku josh dekar ilaj karna goya aapki ijaad thhi. Fann e aatish baazi, sabun saazi, aur khush naweesi mein bhi yad e toola haasil thha.
Funoon e sipah giri aur kasrat to is khandan e paak mein khaas thha, aap har din 700 dand (indian dips) karte thhe.

You May Also Like

We will be happy to hear your thoughts

Leave a reply

eBookmela
Logo
Register New Account