[PDF] TASKEEN E QULOOB by Hazrat Taskeen-ul-Mashaikh (RA) - Naseer Quadri Taskeeni . - eBookmela

TASKEEN E QULOOB by Hazrat Taskeen-ul-Mashaikh (RA) – Naseer Quadri Taskeeni .

TASKEEN E QULOOB by Hazrat Taskeen-ul-Mashaikh (RA) – Naseer Quadri Taskeeni .
Likes+254
Telegram icon Share on Telegram

TASKEEN E QULOOB by Hazrat Taskeen ul Mashaikh (RA)

User Rating: Be the first one!

Author: Naseer Quadri Taskeeni

Added by: naseersktkn

Added Date: 2020-07-18

Language: urd

Subjects: TASKEEN

Collections: Books by Language, urdu, Books by Language,

Pages Count: 600

PPI Count: 600

PDF Count: 1

Total Size: 82.92 MB

PDF Size: 12.38 MB

Extensions: pdf, gz, zip, torrent

Archive Url

Downloads: 683

Views: 733

Total Files: 11

Media Type: texts

PDF With Zip
TASKEEN E QULOOB by Hazrat Taskeen-ul-Mashaikh (RA) – Naseer Quadri Taskeeni .

April 9, 2021

Download PDF

12.38 MB 1PDF Files

Zip Big Size
TASKEEN E QULOOB by Hazrat Taskeen-ul-Mashaikh (RA) – Naseer Quadri Taskeeni .

April 9, 2021

Download Zip

82.92 MB 11Files

Total Files: 4

PDF
TASKEEN-E-QULOOB.pdf
TASKEEN E QULOOB pdf

Last Modified: 2020-07-18 17:11:25

Download

Size: 12.38 MB

GZ
TASKEEN-E-QULOOB_abbyy.gz
TASKEEN E QULOOB abbyy gz

Last Modified: 2020-07-18 17:41:52

Download

Size: 128 bytes

ZIP
TASKEEN-E-QULOOB_jp2.zip
TASKEEN E QULOOB jp2 zip

Last Modified: 2020-07-18 17:41:40

Download

Size: 70.43 MB

TORRENT
taskeen-e-quloob_archive.torrent
taskeen e quloob archive torrent

Last Modified: 2023-04-14 23:59:59

Download

Size: 5.90 KB

Description


Biography of Taskeen-Ul-Mashaikh

Sufi-E-Basafa Peer-E-Laasani Mohibbe Mehaboob-E-Subhaani Hazrat Taskeen-Ul-Mashiakh Alhaaj Ashha Sufi Muhammed Bakshi Taskeen Naqshbandi Ul Quadri Quddisa-sirrahu-al-azeez.


Deccen ki sar zameen Mashiqe-E-Izaam-O-Ulema ikraam, wo Auliya-E-aalam ki wajah se ilmo irfaan ka marqaz kehlaati hai. Ahle deccan is qususiyat par jitna faqar kare kam hai. Awaam-munaas me inhi buzurgo ki Inayaat-E-Ilmi Adabi-O-Saqhafaati-O-mahzabi aur ruhaani ke Bais-E-Iqdaar islam taabinda aur Sunnat-E-Nabawi Zinda hai.


Murshiduna-O-Maulana Taskeen-Ul-Mashaaiq Hazrat Allama Maulana Alhaaj Sufi Muhammed Bakshi Taskeen Sha Naqshbandi-Ul-Quadri Quddisa-sirrahu-al-azeez ka shumaar bhi deccan ke unhi naamwar mashaheer Mashaiq-E-Aalam me hota hai.


Wiladat-E-Ba Sahadat baroze Jumm-E-Raat 23-Rajjab-1361 (Thursday, 6-Aug-1942) me apne abaayi maskan Raichur(Karnataka,India) me huyi. Khaandaan-E-Idreesiyaa ke ye maayanaaz supoot ki wilaadat Dar-asla Qud be deccan Hazrat Sayyiduna Syed Muhammed Hussaini Ghesudaraaz Banda Nawaz Quddisa-sirrahu-al-azeez ki Zinda Karaamat hai. Chunaanche musaddiqa baat hai ke aapke waalide giraami Muhammed Hussain Sahab Idrees aur unki Ahliyaa arse daaraz se Nyaamate Aulaad ke Khwaaishmand the badi aarazu aur tammana ke baad inke ghar ek farzand fir ek dhuktar ake baad digar tawallud huye lekin sheer quaargi ke aayyama hi me dono daaghe mufaariqat de gaye. kuch arse baad Muhammed Hussain Sahab unki Ahliya dono baargaahe Banda Nawaz me haazir hokar Allah taala se Aulaad ke liye Khaasta gaar huye. Charaagha ki nazar maani Shebaaz-E-Deccan ke faiz-E-baatini se unke ghar ek Farzand tawallud hua jo mustaqbil me us vali-E-kaamil ke Faiz-E-Ruhaani ka aqse Jameel ban gaya, jinka isme mubarak Muhammed Bakshi tajweez kiya gaya. Aapka bachpan aur Sharf-E-Bayaat(As-suhabatu tu assiru) suhabat muassir hoti hai, ke bisdaaq aapki zindagi kay Azeem hissa Saalehin wo Auliya-E-Kaamileen ki Ruhaani wa Irfaani suhabato se labrez hai, kyun ke ek taraf tho Watan-E-Maloof Raichur Deccan ka ek aisa ilaaqa hai jo apni Mazahabi yehamit ke lihaaz se tasawwuf wa irfaan rusdo hidayat ilmo fazal ka Markaz raha hai.Doosri taraf Fayyaz-E-Haqeeqi ki jaanib se jo fitarate saleem aapko wadii-at huyi wo khud is baat ki muta-qwaazi thi, bina bari Roz-E-Awwal hi se Fuqhraa-E-Haq ki ham nashini aur Ahlulla ki pur faiz suhabat se istifaade ka shauq aap par had Darj-E-Ghalib raha aur Hazrat Taskeen-Ul-Mashaiq ki umar abhi 12 saal hi huyi thi, ke aap Shaik-E-Zamana Haadiye-E-Shariyat-O-Tareeqat Hazratull-Allama Yahiyya Pasha Saheb Naqshbandi-Ul-Quadri Hyderabadi Quddisa-sirrahu-al-azeez ke Dast-E-Haq par baiyaat farma kar Raah-E-Suluk ke anwaar wa barkaat se mutmatti hone lage(Alhamdulillahi alazaalik)


Imaan ke do juz hai ek Zahiree, ek Baatini.


Zaahiree juz, ikqraarum-bil-lisaan hai. Baatini juz, Tasdee-qum-bil Qalb hai.


Jiski kaamil tasdiq wo maarifat ke baad hi Banda-E-Momin, Irfaan wo Shuhood ki lazzato se aashna hota hai, yahi wo nyaamate uzma hai, jiske husool ke liye har daur me Saalihin-E-Ummat ne duniya ke tuloo arza ki baad paimaayi ki aur Hazrat Taskeen-Ul-Mashaiq ne kalimaaye Tauhid wo Shahadat ke baatini rumooz wa asraar haaye Qufta ke husool me jin sufi-yaaye zamana se taalib bankar istifaada kiya unme ek numaya naam Hazrat Syed Sha Ibrahim Pasha Saheb Quadri Qadeeri Banda Nawazi Yamani Sajjada Nasheen Astana Hazrat Syeed Badesha Quadri Yamani Qadeer Quddisa-sirrahu-al-azeez Halkatta Shareef (Dist : Gulbarga Shareef, Karnataka,India) ka bhi hai. (Alhamdulillahi alakulli haal ).


Suqan-E-Taskeen


Kyun dikhaate nahi apna Rukh-E-taba mujko, Unki nisbat se mila hai Dar-E-jaana mujko,


Qilafat wo Aata-E-Niyamat


Is baat ke tho sab hi qaahil hai ke Fazl-E-Khuda wo Karam-E-Sayyidul Ambiya(Alaihis-Salatho-Wassalam) hamesha aapke Shaamil-E-Haal raha hai aur Huzoor Ghous-E-Azam aur Khwaja-E-Hind Huzoor Ghareeb Nawaz(Raziallahu Anhuma) ki aap par khwaas Nazar-E-Inayat rahi hai,Yahi waja hai ke Haqaaikhe-E-Aagha qhudwattus saalikeen Nabira-E-Ghous-E-Azam Hazrat Syed Sha Hyder Noorulla Quadri (Alaihir Rehmaa) ne Hazrat Taskeen-Ul-Mashaiq ko Hazrat Syed Sha Khadar Basha Chishti-Al-Quadri Jagat Guru Linga Band Balhaari(Bellary) wo Khasim Sha Saheb Dulhe aur Hazrat Syed Sha Hyder Noorulla Quadri ke chote farzand Syed Ghous-Mohiuddin Quadri-Al-Maroof Sarfaraaz Pasha Quadri wo digar Muhazizz Haazireen-E-ikram ki mujoodgi me Hazrat Taskeen-Ul-Mashaiq ko bila talab Qeerkha-E-Qilafat wa Niyamat Ata karte Huye irshaad Farmaya tha ke Mere Dada Zubdtatul aarifeen Hazrat Sayyiduna Noorulla Sha Quadri al Maaroof Peer Pasha Quadri qutbe Koppal ka ishaar-E-Ghaibi hua hai ke aapko qilafat di jaaye aur Hazrat Peer Pasha, Quadri Qutb-E-Koppal Quddisa-sirrahu-al-azeez ki baatini dastgeeri wo ruhaani inaayat hi ka asar hai ke Hazrat Taskeen-Ul-Mashaiq ka Halqa-E-Iraadat wo berooni mulk yeksa pehla huwa hai, jinme aksaliyat naamwar Ulema Ufhaaz Qutaba wo Shuwara ki hai Riyaasat-E-Karnatak,Andra Pradesh,Maharashtra ke goshe-ghoshe se mulk ke muqtaaleef riyasato ke alawa berooni mulk se Saalikaan-E-Tareeqat wo Taalibaan-E-Maarifat shauk wa raghbat se aapke Halqa-E-iradat me Shaamil hokar Faiziyaab hote rehte hai. Aapka Halk-E-Iradat kaafi wasii hai, dusri aapki Faiz-E-Suhabat se beharmand hokar aapke Qulafa Mulk ke mukhtaleef ghoso me Millat-E-Islamia ki tarweej wo ishaa-at ke Khidmaat anjaam de rahe hai.


Qhidmaat-E-Jaalila


Hazrat Taskeen-Ul-Mashaiq ba ek waqt Aalim-E-Deen bhi hai, Peer-E-Tareeqat bhi hai. Asri uloom se buzayyin asri taqazo par nazar rakhne waale mufakkir wo mudabbir Ishq-E-Rasool se sarshaar naadgo Shaayar bhi Millat-E-Islamia ke rehabar wo rehnuma bhi Arsa-E-Daraaz se aap Behasiyat-E-Waaiz wa Mudabbir Shaik-E-Waqt, Millat ke Deeni masail me bahusne khoobi rehabari farmaate rahe hai. Islaah-E-Muslmaanaan ke silsile apne zaati masaarif se aksar azla wo qhabaajaat ke daure kiye hai Allah taala aapke muwahize asna ko zoodasar dil pazeer wo Maqbooliyat-E-Aamma ke zewar aaraasta kiya hai, jiske sabab bila Imtiyaaz qareeb wo bayeed har koi asbe Istedaad aapke Hifaadaat-E-aaliya se mustafeez hota hai, aapke taqaareer wo muwaiz jaha mudalilla wo dil nasheen hote hai, wahi tasawwuf ke haqaaika wa dhakhaaikha se labrez nazar aate hai, aapke waaz ka wasf khwaas ye hai ke ba ek waqt Ahle-E-Ilma wo Ahle-E-Nazar wo Ahle-E-Dil aur aamatunaaz hasbe mansha Zokh wo Hifz paate hai. Deen-E-Mustafa ki tarweej wo Tableegh ke qaatir wo berune Mulq Muktalif asfaar kiye hai, Hindustaan ke wo shehar zaha aapka Halka-E-iradat Kaafi wasii hai.


Waha aksar aapke mawaize Khayyima ka silsila jaari hai alawa azi Karnool,Aadhooni, Kautaalam,Bidar,Chitguppa, Yaadgeer, Halkatta,Kushtagi,Hanumsagar,Bijapoor,Sindhanoor,Maanvi,Sankeshwar,Belgaum,Kampli,Mudgal me bhi aapke muwaiz wo taqaareer se aamatunnas mustafeez huye hai.Apne Deene-wa-Ilmi shaghaf ki bina par Arsa-E-Daraaz se Hazrat Taskeen-Ul-Mashaiq mutaaddid Anjumano wo majadise Ilmiya wo madaris bashhamool tanzime Huffaz-E-Ikram Koppal Madras-E-Anwarul-Uloom Minhaj-Ul-Quran Hyderabad. Madras-E-Taskeen-Ul-Quran Balhaari(Bellary) ki sarparasti farma rahe hai. Har kaam par Musalmaano ki Sahi qhutoot par rehabari wa rehanumaayi aapki hayaat ka Turra-E-Imtiyaaz hai.


Shehar-E-Koppal me aapke Khidmaat


Baargah-E-Qudhbiyat Hazrat Syed Sha Peer Pasha Quadri Quddisa-sirrahu-Al-Azeez ki qidmat aapki Zindagi ka Azeem sarmaaaya hai. Saalan Urs-E-Mubarak ki taqareeb ka jo nizaam aapne farmaaya wo apne andar juda gaana Shaan wo infiradiyat ka haamil hai. Har saal Maah-E-Rabbi-Ul-Awwal ki 14,15 & 16 ko Taqaareeb-E-Urs poore yahtimaam ke saath Munaaqid hoti hai jinme door daraaz se aaye huye zaayireen ke alawa Mushaiqeen-E-Tareeqat wo Ulama-E-Shariyat ki qaseer tyadaat shareeq rehti hai.


Dusri taraf Dargha Shareef tousi wo tazzin-kaari ka silsila bhi jaari hai. Shehra-E-Koppal aur uska muzafaat me Hazrat Taskeen-Ul-Mashaiq ki 40 saala qidmaat ka daaira kaaafi wasii hai.Zila Koppal ke masajid ki taamiri wa intezaami umoor me bhi aapka taawun rehta hai. Saal ke baarah mah ke jo deen wo roohaani mazalis Shehar-E-Koppal munaqeed hote hai sab aap hi ki kaawisho ko nateeja hai. Bil qusoos Mah-E-Ramzan mubarak ke Mauqe par Taaqh-Raato me majalis zikr Naat-O-Waaz ka naadir nazm aapne is Shehar me qaim kiya hai. Iski Nazeer bahut hi kam Nazar aati hai. Garz ye ke Hazrat Taskeen-Ul-Mashaiq ne apne 40 Saala Daur-E-Jiddojahad wo mehanat is shehar ke liye ki hai isi ka asar hai ke aaj ye Shehar Roohani-Wa-Ilmi markaz aur Sunniyat ka Azeem Qila ban gaya hai, jaha Muqhaami Hufaaz wo Ulema ki ek badi Jamaaat paida hogayi hai, jo Deen-E-Islam ke Muqtalif gosho me apne qidmaat anjaam de rahe hai aur ye sab kuch usi Chashmay-E-Quadiriyat wo Naqshbandiyat ke Fiz-E-Nazar wo Suhabat-E-Pur Asar ka Aqs-E-Jameed hai.


Ausaaf wa Aqlaaq


Aap Paikar-E-Hilm aur Mujassim-E-Aqlaaqo-Muhabbat dushman se bhi Khanda peshani se pesh aane waale. Aapko akhlaaqe ke aise saanche me dhaala gaya hai ke har milne waala ye samaj tha hai ke aap mujse se zyada Muhabbat rakhte hai, Aamattunaas se Bila-Imtiyaaz mazhabo millat rawa daari aapka khaas shiaar hai aur Qidmat-E-Qalk aapka Mehaboob Majghala bina bari Sufi Laqab aapke isme Shareef ka ek hissa ban gaya. Khwaja-E-Ajmeri Quddisa-sirrahu-al-azeez ka Farmaan hai ke Sufi wo hai Jiske andar Dariya jaisi saqawat, Aftab jaisi shafaqat aur Zameen jaise tawaz-ho, aapki Shaqsiyat mazkoora bala khaula ka mukkamal namona nazar aati hai. Shayad hi koi dil aisa Ghuzar tha ho ke zaroorat mand aapke paas naa aate ho, muqtasar ye ke sab unke yehsan-naat hai(Jazhallahu Anhum Khairan Jaha). Dushmano ko dushmani ka jawaab yehsaan se dete huye feedwi (Mufti Nazeer Ahmed Taskeeni, Khalifay-E-Taskeen-Ul-Mashaiq) ne aap hi ko dekha hai. Wasi-Ul-Qalb mutawaaze munkasirul mizaaz bulan fiqr wo Nazar khanda jabeel Mujjassima-E-Muhabbat wo Paikar-E-Iqlaas wo kaunsi qoobi hai jo Hazrat Taskeen-Ul-Mashaiq me naa ho.


Bayii hama taajjob hota hai ke jiski zindagi aisi bedaagh majmuaaye mahaameed-o-muhaassin ho unke saath bhi Haasideen har daur me rahe hai. Khulaasa ye hai ke Hazrat Taskeen-Ul-Mashaiq ki Zindagi Aslaaaf-E-Ummat ka namoona hai. Aap Sufi-E-Baasafa, Aalim-E-Baamla, Waaize-E-Ishq-E-Rasool se sarshaar naatgo shayeer aur digar hama jehati khubiyo ke saath ek poorwaqaar shaqsiyat ke haamil aur Baargah-E-Risaalat-E-Ma-aab(Sallallaho Alaihi Wasallm) se bepanaah aqeedat ke baais Ishq-E-Maul-O-Ishq-E-Mustafa ka Paikar-E-Kaamil hai. Allah taala hargaam par aapki Dastageeri farmaaye. Apni Habeeb Sallallaho Alaihi Wasallam aur unki Haal-E-Atahaar ke Tufail aapka saaya ham Taalibaan-E-Raah par taader salamat rakhe (Ameeeeen)


Suqn-E-Taskeen


Ishq-E-Nabi ka jis kisi ke dil me hilaal hai, khalb me taskeen hai, zindagi me kamaal-E-lazawaal hai.


Faqat - Mufti Muhammed Nazeer Ahmed Quadri Taskeeni, Khalifa-E-Taskeen-Ul-Mashaiq-O-Kaamil-E-Jamia-Nizamiya Al-Hind

 

 


You May Also Like

We will be happy to hear your thoughts

Leave a reply

eBookmela
Logo
Register New Account